Har taraf uska chehra nazar aaye
Khwabon mein usiki mehek,
usi ka sparsh nazar aaye
In sab ki vastavikta se tulna karne ka jigar to hummne nahin,
par use bhool pana bhi hamare dum mein nahin
Kehte hain saahilon pe kagaz ki kashti ka koi kinara nahin hota
Hume bas kinara nazar aaye
par ustak pahunchna kaise
Hamare dum mein nahin
Use bhool pana hamare dum mein nahin…
Ye mehfil, ye zindagi
sab adhoori si lage
Mann mein kahan kuch
sab pyasa sa lage
Bas uski yaad aur hamara deewanapan nazar aaye
Par iss sab ko bhar pana,
Hamare dum mein nahin
Use bhool pana hamare dum mein nahin…